shahr-e-tarik ko sapnon ka nagar hone tak muntazir baithi hun is shab ki sahar hone tak hijr mein haalat-e-dil kaise sambhal paegi rah-e-dushwar se yaadon ka guzar hone tak raat ki god mein arman liye baithi hun kash aa jae wo ye raat basar hone tak us ka mujh se hai taqaza ki gulistan mein rahun apni ranai ka phulon pe asar hone tak pyar ko ahl-e-zamana se bacha kar rakhiye pyar ki apni sabhi manzilen sar hone tak wo to aa jaega mujh ko ye yaqin hai lekin mit na jaun kahin main us ko khabar hone tak tum ne 'zaryab' yunhi naghma sunaya tha use us ko gana hai magar pyar amar hone tak