sambhaalne se tabiat kahan sambhalti hai wo be-kasi hai ki duniya ragon mein chalti hai ye sard-mehr ujala ye jiti-jagti raat tere khayal se taswir-e-mah jalti hai wo chaal ho ki badan ho kaman jaisi kashish qadam se ghat ada se ada nikalti hai tumhein khayal nahin kis tarah bataen tumhein ki sans chalti hai lekin udas chalti hai tumhaare shahr ka insaf hai ajab insaf idhar nigah udhar zindagi badalti hai bikhar gae mujhe sanche mein dhaalne wale yahan to zat bhi sanche samet dhalti hai khizan hai hasil-e-hangama-e-bahaar 'khizan' bahaar phulti hai kaenat phalti hai