yar bhi rah ki diwar samajhte hain mujhe main samajhta tha mere yar samajhte hain mujhe jad ukhadne se jhukaw hai meri shakhon mein dur se log samar-bar samajhte hain mujhe kya khabar kal yahi tabut mera ban jae aap jis takht ka haqdar samajhte hain mujhe nek logon mein mujhe nek gina jata hai aur gunahgar gunahgar samajhte hain mujhe main to khud bikne ko bazar mein aaya hua hun aur dukan-dar kharidar samajhte hain mujhe main badalte hue haalat mein dhal jata hun dekhne wale adakar samajhte hain mujhe wo jo us par hain is par mujhe jaante hain ye jo is par hain us par samajhte hain mujhe main to yun chup hun ki andar se bahut khali hun aur ye log pur-asrar samajhte hain mujhe raushni bantta hun sarhadon ke par bhi main ham-watan is liye ghaddar samajhte hain mujhe jurm ye hai ki in andhon mein hun aankhon wala aur saza ye hai ki sardar samajhte hain mujhe lash ki tarah sar-e-ab hun main aur 'shahid' dubne wale madad-gar samajhte hain mujhe