samjhe the 'mir' hum ki ye nasur kam hua phir un dinon main dida-e-khun-bar nam hua aae ba-rang-e-abr araq-nak tum udhar hairan hun ki aaj kidhar ko karam hua tujh bin sharab pi ke mue sab tere kharab saqi baghair tere unhen jam-e-sam hua kafir hamare dil ki na puchh apne ishq mein bait-ul-haram tha so wo bait-us-sanam hua khana-kharab kis ka kiya teri chashm ne tha kaun yun jise tu nasib ek dam hua talwar kis ke khun mein sar dub hai teri ye kis ajal-rsida ke ghar par sitam hua aai nazar jo gor sulaiman ki ek roz kuche par us mazar ke tha ye raqam hua ka-e-sar-kashan jahan mein khincha tha mein bhi sar payan-e-kar mor ki khak-e-qadam hua afsos ki bhi chashm thi un se khilaf-e-aql bar-e-ilaqa se to abas pusht-e-kham hua ahl-e-jahan hain sare tere jite-ji talak puchhenge bhi na baat jahan to adam hua kya kya aziz dost mile 'mir' khak mein nadan yan kaso ka kaso ko bhi gham hua