sair ke qabil hai dil-sad-para us nakhchir ka jis ke har tukde mein ho paiwast paikan tir ka sab khula bagh-e-jahan illa ye hairan-o-khafa jis ko dil samjhe the hum so ghuncha tha taswir ka bu-e-khun se ji ruka jata hai ai baad-e-bahaar ho gaya hai chaak dil shayad kaso dil-gir ka kyunke naqqash-e-azal ne naqsh abru ka kiya kaam hai ek tere munh par khinchna shamshir ka rahguzar sail-e-hawadis ka hai be-buniyaad-e-dahr is kharabe mein na karna qasd tum tamir ka bas tabib uth ja meri baalin se mat de dard-e-sar kaam yan aakhir hua ab faeda tadbir ka nala-kash hain ahd-e-piri mein bhi tere dar pe hum qadd-e-kham-gashta hamara halqa hai zanjir ka jo tere kuche mein aaya phir wahin gada use tishna-e-khun mein to hun us khak-e-daman-gir ka khun se mere hui yak-dam khushi tum ko to lek muft mein jata raha ji ek be-taqsir ka lakht-e-dil se jun chhidi phulon ki gundhi hai wale faeda kuchh ai jigar is aah-e-be-tasir ka gor-e-majanun se na jawenge kahin hum be-nawa aib hai hum mein jo chhoden dher apne pir ka kis tarah se maniye yaro ki ye aashiq nahin rang uda jata hai tak chehra to dekho 'mir' ka