samjhen bhi donon kar rahi hain kya ye chaar panch

samjhen bhi donon kar rahi hain kya ye chaar panch
laundi ke yar chaar hain bibi ke yar panch

ab to sharif-zadiyan karti hain chaar panch
khanam ke yar chaar hain begam ke yar panch

kal sat aadmi the jinhon ne kiya ye haal
do to safed-posh the bibi ganwar panch

duniya sara hai betiyon is ka shumar kya
aate hi jate rahte hain har roz chaar panch

in marduon ne sahl samajh li hai naukri
mang ek ki hai aae hain umid-war panch

ginti jo yaad karti hai din bhar ye chhokri
sote mein bhi pukarti hai tin chaar panch

dekha jo das ka note jhatak le gain dason
pahle to sirf mangti thin wo udhaar panch

samdhan batao kis ka gala ab dabaun main
chhe marduon mein tum ne mangae hain haar panch

bhaari hai das jawanon pe rustam ki ye bahu
lagte hain palki mein do tarfa kahaar panch

thi panjatan ki yaad jo thi jaankani ke waqt
munh se mere nikal gaya be-ikhtiyar panch

chaar aadmi ke samne kai de gain thi tum
ab kaun manta hai kaho tum hazar panch

pancho sawaron mein to wo khud bhi the kyon na aae
mujh ek ke pakadne ko bheje sawar panch

'shaida' kahan se sikhe ye gun us ne aakhirash
mayya to jaanti hi na thi us ki chaar panch


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close