nahin dete kiraya sal bhar se

nahin dete kiraya sal bhar se
kaho un se ki niklen mere ghar se

mari jati hun sohbat ke asar se
jhuka jata nahin ab to kamar se

duaen kar rahi hun sal-bhar se
ilahi jald aaen wo safar se

tumhein tab qadr hogi aabru ki
guzar jaega jab pani kamar se

nahin achchhe ye faqe tis din ke
miyan ramzan niklen mere ghar se

giri thi bach gai masjid se guyyan
phiri hun main khuda ke aaj ghar se

tera ladka tamashe ka hai nargis
khuda mahfuz rakkhe bad-nazar se

kisi ke kahne sunne par na jao
na jab tak dekh lo apni nazar se

kahe ye kaun raja ji se dhanko
khisak aaya hai pajama kamar se

gila aankhon ka palkon se karoge
gira dungi agar tum ko nazar se

khushi is ki hai mujh ko ai dogana
mila hai ghar mera 'shaida' ke ghar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close