samne aa ke bhi chupke se nikal jate hain

samne aa ke bhi chupke se nikal jate hain
hae kya log hain kis tarah badal jate hain

kasmasata hua badli mein qamar lagta hai
un ke gesu jo kabhi rukh pe machal jate hain

ranj-o-gham dard-o-musibat ke hain khugar kitne
garmi-e-husn se kuchh log pighal jate hain

is qadar nam mein un ke hai nashe ki lazzat
jam-o-paimana o mai-khana machal jate hain

gham na kar manzil-e-maqsud milegi 'anjum'
thokaren kha ke bahut log sanbhal jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close