samne aankhon ke har dam teri timsal hai aaj dil bhara aae na kyunkar ki bura haal hai aaj zafaran-zar mein lale ki bahaar aa kar dekh ashk-e-khunin se rukh-e-zard mera lal hai aaj waqt hai gar to ba-taqrib-e-iyaadat aawe kyunki bimar ka tere batar ahwal hai aaj turfa haalat hai ki uth kar main jahan jata hun tere didar ki khwahish mere dumbaal hai aaj roz is tul se kahe ko kate tha mera nahin malum mujhe roz hai ya sal hai aaj dil chala sabr chala ji bhi chala jata hai tuk madad kar tu ki lashkar mein mere chaal hai aaj tujh ko chaha tha main us din ke liye kya zalim teri chahat to meri jaan ka janjal hai aaj din judai ka qayamat se nahin kam har-chand bim-e-pursish na gham-e-nama-e-amal hai aaj 'mushafi' karwaten badle hai qalaq mein tujh bin ustukhwan us ka jo hai qura-e-rummal hai aaj