ye gila dil se to hargiz nahin jaana sahab sab ne jaana hamein par tum ne na jaana sahab in bayanon se gharaz hum ne ye jaana sahab aap ko khun hamara hai bahana sahab chhod kar aap ke kuche ko phirun sahra mein so to majnun sa nahin hun main diwana sahab yaad the hum ko jawani mein to sau makr-o-fareb ek karishma tha tumhein dam mein lana sahab ab jo budhe hain to ab bhi hamein shaitan 'nazir' hans ke kahta hai aji aaiye nana-sahib