samne baith ke kuchh baat bhi ho sakti hai aap chahen to mulaqat bhi ho sakti hai kis ne samjha hai badalte hue mausam ka mizaj dhup rahte hue barsat bhi ho sakti hai hath aai hui bazi pe bahut naz na kar jitne wale tujhe mat bhi ho sakti hai wadi-e-shab mein charaghon ka ye lashkar kaisa koi bhatki hui baraat bhi ho sakti hai hum ne dekha bhi nahin tum ne pukara bhi nahin kal yahi wajh-e-shikayat bhi ho sakti hai hum ne pahle hi khabar-dar kiya tha 'masum' rah-e-ulfat mein koi ghat bhi ho sakti hai