ujad kar bhi nishan-e-gulsitan khud ko samajhta hun lahu deta hun is ko baghban khud ko samajhta hun kamal-e-sher rakhta hun jawan khud ko samajhta hun hamesha se junun ka raaz-dan khud ko samajhta hun sada main dil ki sunta hun to karta bhi hun man-mani wo nadan hun ki phir wajh-e-ziyan khud ko samajhta hun nikala mujh ko jannat se khuda ki mehrbani ne lihaza aaj tak khuld-ashiyan khud ko samajhta hun main zinda hun hazaron zakhm kha kar bhi mohabbat mein na jaane kyun main apna mehrban khud ko samajhta hun hun waris qais ka aur asr ki laila ka hun aashiq zamane mein wafa ki dastan khud ko samajhta hun bana kar shakh-e-nazuk par nasheman chaar tinkon ka chaman mein sirf ahl-e-ashiyan khud ko samajhta hun main apni maut se darta nahin hun is liye 'jami' sada aazad zer-e-asman khud ko samajhta hun mere ashaar khud hi hain mera nam-o-nishan 'jami' magar main to tera nam-o-nishan khud ko samajhta hun