samne hote hue jaane kahan hoti hai

samne hote hue jaane kahan hoti hai
bewafai tere chehre se ayan hoti hai

teri aawaz mujhe us se kahin badh kar hai
roze-daron ke liye jaise azan hoti hai

diqqaten is ko nahin hoti hain talwaron se
dil agar tute to bas wajh zaban hoti hai

ek ladki hai wo chhote se nagar ki lekin
meri khatir wo mujhe sara jahan hoti hai

hum ko lazim hai wo ek shakhs bhi aise 'rahil'
shir-khwaron ke liye jaise ki man hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close