us ka har baat mein inkar dukhi karta hai

us ka har baat mein inkar dukhi karta hai
mujh ko ek shakhs lagatar dukhi karta hai

hain tere shahr mein dukh aur bahut se lekin
muflison ko yahan tehwar dukhi karta hai

sochta roz hun ye aaj ka din achchha ho
par mujhe subh ka akhbar dukhi karta hai

hafi ke sher se milti hai tasalli dil ko
sher zaryun ka har bar dukhi karta hai

dur kis kis ko karun tum ko bhulane ke liye
chhed kar baat teri yar dukhi karta hai

tu kisi aur ki khatir hi sanwarti hogi
bas yahi soch ke didar dukhi karta hai

masale kuchh hua karte hain hamesha dukh ke
ishq bhi aisa hai har bar dukhi karta hai

hum ko ek shakhs dukhi karta hai aise jaise
bistar-e-marg pe bimar dukhi karta hai

rah ke khamosh mujhe ishq kare wo 'rahil'
us se kahna mujhe izhaar dukhi karta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close