samne sab ke na bolenge hamara kya hai chhup ke tanhai mein ro lenge hamara kya hai gulshan-e-ishq mein har phul tumhaara hi sahi hum koi khar chubho lenge hamara kya hai umr-bhar kaun rahe abr-e-karam ka muhtaj dagh-e-dil ashkon se dho lenge hamara kya hai hath aaya na agar dast-e-hinai tera ungliyan khun mein dubo lenge hamara kya hai tum ne mahlon ke alawa nahin dekha kuchh bhi hum to footpath pe so lenge hamara kya hai apni manzil to sarabon ka safar hai 'baqi' hum kisi rah pe ho lenge hamara kya hai