samne us but ke jab jaana paDa

samne us but ke jab jaana pada
kufr par iman mujhe lana pada

bahar-e-darman un ko jab aana pada
dard-e-dil ko aur badh jaana pada

phir bhi kab samjha fareb-e-husn ko
dil ko lakhon bar samjhana pada

jite ji didar-e-jaanan tha muhaal
zindagi mein mujh ko mar jaana pada

ku-e-jaanan kucha-e-jaanan tha phir
jannat-e-waiz ko thukrana pada

ho chuka nazrana jab dil husn ka
phir jigar ko samne lana pada

zindagi mein jab na 'afqar' aae wo
zindagi ko maut ban jaana pada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close