wo but bina nigah jamae khada raha main aankh band kar ke use pujta raha khush-fahmiyon ka aaj bharam khul gaya to kya ek mod par to us ka mera samna raha tum ko to ek umr hui hai juda hue hairan hun raat-bhar main kise dhundhta raha ek ek daricha band tha phir bhi ye dar raha chhup-chhup ke jaise koi hamein jhankta raha us ki nigah fitna-ada to bahana thi khud mera dil bhi mera lahu chusta raha 'anjum' kise khabar ki koi mahw-e-intizar kal jalti dopahar mein akela khada raha