samundar ke kinare ek samundar aadamiyon ka hamare shahr mein rahta hai lashkar aadamiyon ka wahi sina-figari hai wahi be-e'tibari hai badalta hi nahin hai yan muqaddar aadamiyon ka zamin se aasman tak chha rahi hai khun ki surkhi chhupa hai khair ke parde mein bhi shar aadamiyon ka qayamat se bahut pahle qayamat kyun na ho barpa jhuka hai aadmi ke samne sar aadamiyon ka faqat chehre hi ab gard-e-kudurat se nahin dhundle dilon ka aaina bhi hai mukaddar aadamiyon ka zamin yunhi rahi gar be-gunahon ke lahu se tar hawa ho jaega ek din samundar aadamiyon ka