bewafa hai ba-wafa hai faisla hota nahin us se mil kar bhi haqiqat ka pata hota nahin jab chamakti shahrahen samne maujud hon mujh se phir pagdandiyon par iktifa hota nahin dard ke rishton ki apni ek alag hai dastan fasla hota hai phir bhi fasla hota nahin pesha-war logon se kya len zindagi par tabsira nind aur khwabon se un ka wasta hota nahin gahma-gahmi zindagi ki uf ye raftar-e-jahan bite lamhon ko dobara sochna hota nahin