samundar sab ke sab payab se hain kinaron par magar girdab se hain tere khat mein jo ashkon ke nishan the wahi ab kirmak-e-shab-tab se hain chahak uthta hai saz-e-zindagani tere alfaz bhi mizrab se hain dilon mein karb badhta ja raha hai magar chehre abhi shadab se hain hamare zakhm raushan ho rahe hain masiha is liye betab se hain wo jugnu ho sitara ho ki aansu andhere mein sabhi mahtab se hain kabhi nashtar kabhi marham samajhna mere ashaar bhi ahbab se hain khushi tera muqaddar hogi 'akhtar' ye imkan ab khayal-o-khwab se hain