samundar tishnagi wahshat rasai chashma-e-lab tak ye sara khel in aankhon se dekha tere kartab tak tamasha-gah-e-duniya mein tamashai rahe hum bhi sahar ki aarzu hum ne bhi ki thi jalwa-e-shab tak na jaane waqt ka kya faisla hai der kitni hai ghadi ki suiyan bhi ho chuki hain muzmahil ab tak kabhi fursat mili to aasman se hum ye puchhenge rahega tu hamare sar pe yun hi mehrban kab tak khuda jaane kahan tak kaamyabi hath aai hai ki apni baat to pahuncha chuka apne mukhatab tak