qabr par howen do na chaar darakht ek kafi hai saya-dar darakht tha main diwana gor par hai zarur bed-e-majnun ka saya-dar darakht hon wo bad-bakht mere sae se khushk hote hain bar-dar darakht tu jo ai sarw bagh mein jae samar o gul karen nisar darakht past hon tujh se ghairt-e-tuba ek kya hon agar hazar darakht wah-re mere aah ke jhonke udte phirte hain kah-war darakht main jo tasir-e-ah dikhlaun koh hil jaen darkinar darakht bagh-e-hasti mein zof-e-piri se 'rind' hun misl-e-bikh-khar darakht baghban kyun na jaane is ko fuzul kar chuke apni jab bahaar darakht