samundaron ki tarah gahre log paoge sanbhal ke chalna yahan warna dub jaoge har ek chiz ke pichhe bhatakna thik nahin kisi sarab se tum pyas kya bujhaoge tum apne dil ko sambhaalo zara ai ham-nafaso junun-e-shauq mein kab tak fareb khaoge zamana bhag raha hai to pichhe mat bhago zara si thes lagi to sanbhal na paoge sab apne hath mein patthar liye khade hain 'majid' haqiqaton ka kise aaina dikhaoge