samundaron ko uthae phiri ghata barson magar main pyas na apni bichha saka barson bas itna yaad hai tujh se mila tha raste mein phir apne aap se rahna pada juda barson main ek umr bhatakta raha hun sahra mein ki meri khak udati rahi hawa barson hami ne daman-e-shab ko na hath se chhoda sahar ke git sunati rahi saba barson nasim shakh-e-gul-e-tar se kyun ulajhti hai chaman mein phul agar phir na khil saka barson tumhi ne rah-e-wafa par qadam rakha na kabhi charagh ban ke main har mod par jala barson kiran kiran mujhe parwaz ki nawed hai aaj raha hun teri fazaon mein par-kusha barson