phir kisi hadse ka dar khole pahle parwaz ko wo par khole jaise jangal mein raat utri ho yun udasi mili hai sar khole pahle taqdir se nimat aae phir wo apne sabhi hunar khole manzilon ne waqar bakhsha hai raste chal pade safar khole jo samajhta hai zindagi ke rumuz maut ka dar wo be-khatar khole hai 'kanwal' khauf raegani ka kaise is zindagi ka dar khole