samundaron mein agar khalfishaar-e-ab na ho saron pe saya-fagan ye ghubar-e-ab na ho wo aasman samajhta hai apni aankhon ko use bhi meri tarah intizar-e-ab na ho har ek lab pe hain naghmat khushk-sali ke ab is taraf karam-e-be-shumar-e-ab na ho kahin fareb na nikle pukar dariya ki hum aab samjhe hain jis ko ghubar-e-ab na ho phir ehtimam se aae hain ghir ke abr magar wo kya kare ki jise e'tibar-e-ab na ho siyah hone laga hai dayar-e-tishna-labi ab is maqam se raushan sharar-e-ab na ho jo ghar se nikla hai pani ki khoj mein 'shahid' kahin wo dafn sar-e-rahguzar aab na ho