wo mere sine se aakhir aa laga mar na jaun main kahin aisa laga ret mazi ki meri aankhon mein thi sabz jangal bhi mujhe sahra laga kho rahe hain rang tere hont ke ham-nashin in pe mera bosa laga lahr ek nikli meri pahchan ki dubte ke hath mein tinka laga kar raha tha wo mujhe gumrah kya har qadam pe rasta mudta laga kuchh nahin chhodo nahin kuchh bhi nahin ye nae andaz ka shikwa laga gend balle par kabhi baithi nahin har dafa mujh se faqat kona laga dur jate waqt bas itna kaha sath 'kanha' aap ka achchha laga