sanam hai ya khuda kya jaane kya hai hamara dilruba kya jaane kya hai na sumbul hai na kala hai na nagin tari zulf-e-rasa kya jaane kya hai kasi pahlu nahin aaram tujh ko tujhe ai dil hua kya jaane kya hai nahin malum kaba hai ki qibla kham-e-abru tera kya jaane kya hai mera dil loge tum ya jaan loge tumhaara indiya kya jaane kya hai jafaon se teri bharna nahin dil tadapne mein maza kya jaane kya hai hamein to us se hai ummid-e-bakhshish magar us ki raza kya jaane kya hai nazar pheri nahin tu ne to hum se ye phir ishwa-numa kya jaane kya hai tasawwur mein jo ki hain band aankhen dikhai de raha kya jaane kya hai bhala tu aashna hoga kasi ka are na-ashna kya jaane kya hai qayamat hai qad-e-baala tumhaara nigah-e-fitna-ra kya jaane kya hai nikalta hai dhuan jo aah ke sath ye ai dil jal raha kya jaane kya hai bhala main kya use batlaun 'anjum' wo mujh se puchhta kya jaane kya hai