jafa se wafa mustarad ho gai yahan hum bhi qail hain had ho gai nigahon mein phirti hai aathon pahar qayamat bhi zalim ka qad ho gai azal mein jo ek lag tujh se hui wo aakhir ko dagh-e-abad ho gai meri intiha-e-wafa kuchh na puchh jafa dekh jo la-tad ho gai mukarte ho allah ke samne ab aisa bhi kya jhut had ho gai talluq jo palta to jhagda bana mohabbat jo badli to kad ho gai wo aankhon ki hadd-e-nazar kab bane nazar khud wahan ja ke had ho gai jafa se unhon ne diya dil pe dagh mukammal wafa ki sanad ho gai qayamat mein 'muztar' kisi se mile kahan ja ke ghera hai had ho gai