sanam ke kuche mein chhup ke jaana agarche yun hai khayal dil ka pa wo to jate hi tad lega phir aana hoga muhaal dil ka guhar ne ashkon ke yan nikal kar jhamak dikhai jo apni har dam to hum ne jaana ki motiyon se bhara hai pahlu mein qal dil ka kabhi ishaarat kabhi lagawat kabhi tabassum kabhi takallum ye tarzen thahren to hum se phir ho bhala ji kyunkar sambhaal dil ka wo zulf-e-pur-pech-o-kham hai us ki phansa to niklega phir na hargiz hamara kahna hai sach are ji tu kaam us se na dal dil ka main lahza lahza hun khinch lata wo phir usi ki taraf hai jata karun 'nazir' us ki fikr main kya hai ab to mere ye haal dil ka