shauq har rang raqib-e-sar-o-saman nikla

shauq har rang raqib-e-sar-o-saman nikla
qais taswir ke parde mein bhi uryan nikla

zakhm ne dad na di tangi-e-dil ki ya rab
tir bhi sina-e-bismil se par-afshan nikla

bu-e-gul nala-e-dil dud-e-charagh-e-mahfil
jo teri bazm se nikla so pareshan nikla

dil-e-hasrat-zada tha maida-e-lazzat-e-dard
kaam yaron ka ba-qadr-e-lab-o-dandan nikla

thi nau-amuz-e-fana himmat-e-dushwar-pasand
sakht mushkil hai ki ye kaam bhi aasan nikla

dil mein phir girye ne ek shor uthaya 'ghaalib'
aah jo qatra na nikla tha so tufan nikla

kar-khane se junun ke bhi main uryan nikla
meri qismat ka na ek-adh gareban nikla

saghar-e-jalwa-e-sarshaar hai har zarra-e-khak
shauq-e-didar bala aaina-saman nikla

kuchh khatakta tha mere sine mein lekin aakhir
jis ko dil kahte the so tir ka paikan nikla

kis qadar khak hua hai dil-e-majnun ya rab
naqsh-e-har-zarra suwaida-e-bayaban nikla

shor-e-ruswai-e-dil dekh ki yak-nala-e-shauq
lakh parde mein chhupa par wahi uryan nikla

shokhi-e-rang-e-hina khun-e-wafa se kab tak
aakhir ai ahd-shikan tu bhi pasheman nikla

jauhar-ijad-e-khat-e-sabz hai khud-bini-e-husn
jo na dekha tha so aaine mein pinhan nikla

main bhi mazur-e-junun hun 'asad' ai khana-kharab
peshwa lene mujhe ghar se bayaban nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close