sham ke maskan mein viran mai-kade ka dar khula bab guzri sohbaton ka khwab ke andar khula kuchh na tha juz khwab-e-wahshat wo wafa is ahd ki raaz itni der ka is umr mein aa kar khula ban mein sargoshi hui aasar-e-abr-o-baad se band-e-gham se jaise ek ashjar ka lashkar khula jagmaga uttha andhere mein meri aahat se wo ye ajab us but ka meri aankh par jauhar khula sabza-e-nau-rasta ki khushbu thi sahil par 'munir' baadalon ka rang chhatri ki tarah sar par khula