sanbhaal qalb-o-jigar tegh utha nazar na bacha tera guman ye ghalat hai ki koi sar na bacha koi diya koi baadal koi shajar na bacha hawa chali to koi naqsh-e-motabar na bacha sanad liye hue parwaz ki fazaon se main yun zamin pe utra ki koi par na bacha ba-juz amal koi nisbat na kaam aaegi khuda ke qahr se to 'nuh' ka pisar na bacha ajib marka ye wahm-o-eatibar mein tha usi ki tegh chali aur usi ka sar na bacha