shuur-o-fikr ki gahraiyon se haar gaya main wo badan hun jo parchhaiyon se haar gaya jise tamam zamana na kar saka qail wo khud zamir ki sachchaiyon se haar gaya meri jadon ko chala hai wo khokhla karne zamana jab meri unchaiyon se haar gaya main dushmanon se bhi nazren mila nahin sakta mera khulus mere bhaiyon se haar gaya main teri mez pe rakkha hua ek aaina hazar tarah ki binaiyon se haar gaya nasib tab kahin tanhaiyan huin 'kaifi' ye dil jab anjuman-araiyon se haar gaya