sang-e-dushnam ko gauhar jaana hum ne dushman ko bhi dilbar jaana nang-e-ulfat hi raha parwana us ko aata hai faqat mar jaana puchh lena dar-o-diwar ka haal ai bagulo jo mere ghar jaana sar qalam karte rahe zulm ke hath yar logon ne muqaddar jaana kam-nigahi ne duboya hum ko ek qatre ko samundar jaana tesha-bardar ko farhad kaha aaina-gar ko sikandar jaana hum haqiqat mein the kohsar magar khud ko zarron se bhi kam-tar jaana