mujhko ye jaan-o-dil qubul naghme ko naghma hi samajh

mujh ko ye jaan-o-dil qubul naghme ko naghma hi samajh
saz ye bitti hai kya ye bhi kabhi kabhi samajh

ishq hai tishnagi ka nam tod de gar mile bhi jam
shiddat-e-tishnagi na dekh lazzat-e-tishnagi samajh

husn ki mehrbaniyan ishq ke haq mein zahr hain
husn ke ijtinab tak ishq ki zindagi samajh

tark-e-talluqat bhi ain-e-talluqat hai
aag bujhi hui na jaan aag dabi hui samajh

aql ke karobar mein dil ko bhi rakh sharik-e-kar
dil ke muamalat mein aql ko ajnabi samajh

ghuncha-o-gul ke sath sath dil ki taraf bhi ek nazar
shefta-e-shaguftagi wajh-e-shaguftagi samajh

aise bhi raaz hain 'khumar' hote nahin jo aashkar
apni hi mushkilen na dekh un ki bhi bebasi samajh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close