sang-e-malamat paiham barse aur ruswa din raat hue

sang-e-malamat paiham barse aur ruswa din raat hue
aap ki nagri mein hum aa kar kitne kam-auqat hue

yurish-e-gham se kaif-o-nashat-e-hasti-e-dil pamal rahe
nauhe ban gae sher ghazal ke aah-o-fughan naghmat hue

jin se ahd-e-wafa tha apna jin se dil ke rishte the
mera pata wo mujh se puchhen aise bhi haalat hue

ahd-e-na-pursan mein hamare jism-o-jaan ki qimat kya
qarya qarya hum ko banta hum goya khairaat hue

apni tabiat sada sada makr-o-dagha se na-manus
jis ne hans kar baat ki hum se hum bas us ke sath hue

hum se thi tanwir-e-gulistan hum se thi tazin-e-chaman
ahl-e-chaman mein lekin ruswa gul-chinon ke hath hue

pahle maen lori de kar mithi nind sulati thin
ab kahti hain so ja warna chor aate hain raat hue

un ka bhi kuchh haal sunao un ka bhi kuchh zikr karo
ek zamana bit gaya hai jin se hamari baat hue

roz-e-azal se bichhde hue ho aakhir kab tum aaoge
subh sawere jaane wale laut aate hain raat hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close