sang ko chhod ke tu ne kabhi socha hi nahin apni hasti mein khuda ko kabhi dhunda hi nahin uljha uljha sa hai kyun apne bharam mein har-dam tu ne khud apne gareban mein jhanka hi nahin tere hone se karam us ka nazar aata hai tujh se badh kar koi shahid wo dikhata hi nahin us ke bandon mein use dhundh agar hai khwahish wo sanam-khanon ke dar par kabhi dikhta hi nahin lamha lamha wo samaya hai rag-o-pai mein 'saba' had se aage kabhi ehsas ne chhoda hi nahin