sang-rezon ki tarah pesh-e-nazar rahte hain mere kase mein pade lal-o-gohar rahte hain sae chunte hain kadi dhup ke sahra se hum pa-shikasta hain magar mahw-e-safar rahte hain kal koyal ki sadaen na shafaq rang kahin shahr mein jaane kahan sham-o-sahar rahte hain khelte hain mere aangan mein wo khush khush baham ranj khushiyon se bahut shir-o-shakar rahte hain khema-zan ho to gae khana-badoshi na gai be-ghari mein bhi sada dosh pe ghar rahte hain qahat-sali hai basirat ki nagar mein 'sabir' kor-chashmon se yahan ahl-e-nazar rahte hain