dekha nahin dekhe hue manzar ke siwa kuchh hasil na hua sair-e-mukarrar ke siwa kuchh muddat se hai mamura-e-bazar-e-ghariban ye shahr na tha jis mein tere ghar ke siwa kuchh kis haal mein us shokh se wabasta hua dil saughat mein dene ko nahin sar ke siwa kuchh wo ghurfa-nashini hai na hai shahr-nawardi baqi na raha hijr mein bistar ke siwa kuchh phulon se badan dubte dekhe gae akasr is bahr mein tera nahin patthar ke siwa kuchh karte bhi talab kya kya yahan dasht-e-ata mein dene ko na tha jins-e-mayassar ke siwa kuchh