sang us ka hai aur sar mera aakhiri mod par hai dar mera ek chhalawa hai mil ka patthar ek haqiqat hai ye safar mera ai hawao chalo gawahi do tum ne dekha hai jalta ghar mera do ghadi aur mujh ko sun lije ab to qissa hai mukhtasar mera jab zamana tha meri mutthi mein kaam aaya bahut hunar mera main nahin fan-shanas kahte hain nam thoda hai mo'atabar mera bas kisi taur ai miyan 'saqib' ho raha hai guzar-basar mera