roz-e-raushan ko jo nisbat hai siyah raat ke sath

roz-e-raushan ko jo nisbat hai siyah raat ke sath
us ne rishta wahi rakha hai meri zat ke sath

kuchh na tha bakht mein nakaam mohabbat ke siwa
zindagi kat di main ne isi saughat ke sath

shab ki shab ek charaghan ka saman rahta hai
sham aa jati hai jab tere khayalat ke sath

abr-e-gham dil se uthe az-sar-e-mizhgan barse
chashm-e-giryan ko ajab rabt hai barsat ke sath

karb yaadon ka raha dard bhulane ka raha
ranj kya kya na sahe gardish-e-haalat ke sath

shaikh ji aap ne dar-bandagi sajde hi gine
dil ki tathir bhi lazim thi ibaadat ke sath

mutriba kaun sune hai teri chikhon ki sada
lab-e-lalin pe thirakte hue naghmat ke sath

aur to kaam sabhi ho gae pure 'akhlaq'
dil-lagi rah gai ek marg-e-mufajat ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close