sangini-e-haalat se ab Darne laga hun

sangini-e-haalat se ab darne laga hun
be-baat si har baat se ab darne laga hun

mujh banda-e-nachiz pe itna bhi karam kya
har dam ki mudaraat se ab darne laga hun

anjaane mein phir taza koi gul na khila de
bahke hue jazbaat se ab darne laga hun

kya jaane ye kis shakl mein kab samne aa jaen
duniya ki ‘inayat se ab darne laga hun

allah-re ye kashmakash-e-zist ka aalam
khud apne khayalat se ab darne laga hun

ye ilm ki ifraati hai ya aql ka fuqdan
bachchon ke sawalat se ab darne laga hun

is khel mein 'mahfuz' ye aankhen na chali jaen
main jalwon ki bahutat se ab darne laga hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close