tanha amin-e-jurat-e-izhaar main hi tha

tanha amin-e-jurat-e-izhaar main hi tha
shayad isi bina pe sar-e-dar main hi tha

sab ki nazar thi us ki 'inayat ki taraf
lekin haris-e-lazzat-e-azar mein hi tha

dekha hai jhank kar jo kabhi apni zat mein
aisa laga ki sirf gunahgar main hi tha

kuchh main hi jaanta hun kami jo bhi mujh mein hai
kahne ko ek sahab-e-kirdar main hi tha

main hi tha jis pe jaan chhidakte the tum kabhi
kuchh yaad hai tujhe tera dil-dar main hi tha

kyon sirf mere hath qalam kar diye gae
shayad akela shahr mein fankar main hi tha

mamba’ thi khair-o-shar ka meri apni zat hi
apni ana se barsar-e-paikar main hi tha

mujh par hi tha ‘itab-e-zamana tamam 'umr
shahr-e-wafa mein sahib-e-pindar main hi tha

ahl-e-khirad bhi karte hain ab pairwi 'zaki'
dasht-e-junun mein qafila-salar main hi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close