sannata chha gaya hai shab-e-gham ki chap par suraj ko tha yaqin bahut apne-ap par wo saiqa mizaj hai main sard barf sa hairat-zada hain log tamam is milap par main hun fasurda sham ki afsurdagi hai aur dhundla sa aks-e-yar hai yaadon ki bhap par main manzilon ki justuju mein tha ba-rang-e-mauj ab raqs kar raha hun mohabbat ki thap par lazim ye pesh-khema-e-afat hai 'khayal' beja jama nahin hain parinde alap par