na latif sham ki justuju na hasin sahar ki talash hai jo nazar nazar ko nawaz de mujhe us nazar ki talash hai mere ham-safar tujhe kya khabar ye nazar nazar ki talash hai meri rahbar ko hai justuju tujhe rahbar ki talash hai jo ajal ko jaane hayat-e-nau jo hayat-e-nau ko ajal kahe mujhe rah-guzar-e-hayat mein usi ham-safar ki talash hai na ho farq dair-o-haram jahan na ho apna apna sanam jahan usi rahguzar ki talash thi usi rahguzar ki talash hai jo bas ek pahli nigah mein mere dil ka raaz samajh sake mujhe ibtida-e-hayat se isi dida-war ki talash hai mere zauq-e-dard ka hausla sar-e-bazm kahta hai barmala wo 'aziz' kaif se dur hai jise chaaragar ki talash hai