sanp sa leta hua sunsan rasta samne tha khatra aaghaz-e-safar mein ek aisa samne tha dasht mein ghamsan ka wo ran pada tha kuchh na puchho dhup meri pusht par thi aur saya samne tha ab to un aankhon ke aage aaina hai aur main hun hae mizhgan kholne se pahle kya kya samne tha buzdil aise the bhigo pae na apne hath tak hum donon bazu the salamat aur dariya samne tha main masafat ki tarah tha bich mein simta hua sa pusht ki jaanib samundar aur sahra samne tha wasl ke khwabon mein ab wo raushni baqi nahin thi hijr ki raaton mein sone ka natija samne tha