zindagi kya hue wo apne zamane wale yaad aate hain bahut dil ko dukhane wale raste chup hain nasim-e-sahari bhi chup hai jaane kis samt gae thokaren khane wale ajnabi ban ke na mil umr-e-gurezan hum se the kabhi hum bhi tere naz uthane wale aa ki main dekh lun khoya hua chehra apna mujh se chhup kar meri taswir banane wale hum to ek din na jiye apni khushi se ai dil aur honge tere ehsan uthane wale dil se uthte hue shoalon ko kahan le jaen apne har zakhm ko pahlu mein chhupane wale nikhat-e-subh-e-chaman bhul na jaana ki tujhe the hamin nind se har roz jagane wale hans ke ab dekhte hain chaak-e-gareban mera apne aansu mere daman mein chhupane wale kis se puchhun ye siyah raat kategi kis din so gae ja ke kahan khwab dikhane wale har qadam dur hui jati hai manzil hum se rah-e-gum-karda hain khud rah dikhane wale ab jo rote hain mere haal-e-zabun par 'akhtar' kal yahi the mujhe hans hans ke rulane wale