sans ke ham-rah shoale ki lapak aane ko hai aisa lagta hai koi raushan mahak aane ko hai phir pas-e-paspai mera hausla zinda hua aasman se phir koi taza kumak aane ko hai ek khilqat hi nahin hai bad-gumani ka shikar us ki jaanib se mere bhi dil mein shak aane ko hai ek muddat se charagh-e-sard sa rakkha hun main is tawaqqoa par ki aanchal ki bhadak aane ko hai ai safar ki raegani aayaton ke sath chal phir wahi jangal wahi suni sadak aane ko hai bed-e-majnun ho rahe hain tir kya talwar kya mere dushman mein bhi ab shayad lachak aane ko hai ab to is chhat par koi mah-e-shabana chahiye saya-e-qamat fasil-e-sham tak aane ko hai raste gum ho rahe hain dhund ki pahnai mein sardiyon ki sham hai phir us ka chak aane ko hai