na manzilen thin na kuchh dil mein tha na sar mein tha ajab nazara-e-la-samtiyat nazar mein tha itab tha kisi lamhe ka ek zamane par kisi ko chain na bahar tha aur na ghar mein tha chhupa ke le gaya duniya se apne dil ke ghao ki ek shakhs bahut taq is hunar mein tha kisi ke lautne ki jab sada suni to khula ki mere sath koi aur bhi safar mein tha kabhi main aab ke tamir-karda qasr mein hun kabhi hawa mein banae hue se ghar mein tha jhijak raha tha wo kahne se koi baat aisi main chup khada tha ki sab kuchh meri nazar mein tha yahi samajh ke use khud sada na di main ne wo tez-gam kisi dur ke safar mein tha kabhi hun teri khamoshi ke katte sahil par kabhi main lautti aawaz ke bhanwar mein tha hamari aankh mein aa kar bana ek ashk wo rang jo barg-e-sabz ke andar na shakh-e-tar mein tha koi bhi ghar mein samajhta na tha mere dukh sukh ek ajnabi ki tarah main khud apne ghar mein tha abhi na barse the 'bani' ghire hue baadal main udti khak ki manind rahguzar mein tha